Hadith on ummah

Other Hadith on one ummah in Quran in Urdu


Hadith on ummah

Today we are going to talk on very important topic Muslims are one ummah | hadith on ummah muslims are one nation.

One ummah in Quran

ALLAH says about one ummah in Quran:

And hold fast to the rope of Allah, all of you together, and do not be divided; (Aal e Imran verse 103)

Mankind was on one religion; (Al Baqara 213)

Hadith on ummah

And at one place the messenger of ALLAH peace be upon him said Muslims are one and their nation is also one.

Did Allah’s Prophet peace be upon him not tell that Muslims are like one body, if one part of the body feels pain, the entire body becomes restless? We were that nation about whom the messenger of Almighty ALLAH peace be upon him said not to do injustice on each other, whoever fulfills the needs of his brother, ALLAH fulfills his need. And whoever removes trouble from his brother. ALLAH removes troubles from him on the day of judgment. And whoever hides the defects of his brother, ALLAH hides his defects. (Sahih Bukhari 2442)

Are we unaware of it? Will our lack of knowledge did not become the cause of our destruction? If someone asks us who we are? Then our reply must be that we are one among the Prophet’s nation. May Allah grant us taufeeq to become one Muslims and remain with love among each other.

Hadith on ummah in Urdu

Aaj hum ek bohat hi ahem guftagoo karne jaarahe hain keh musalman ek hi ummat hain.

ALLAH Quran mein irshad farmata hai:

ALLAH ki rassi ko mazbooti se thame raho aur tukde tukde na hojana. (Aal e Imraan verse 103)

ALLAH Quran paak mein ek aur jagah irshaad farmata hai:

کَانَ النَّاسُ اُمَّۃٌ وَّاحِدَۃٌ (Musalman ek ummat the). (Al Baqra 213)

Aur ek jagaah par ALLAH ke rasool sallallahu a’laihi wa sallam ne irshad farmaya:

 اَلمُسلِمُونَُ اُمَّۃٌ وَّاحِدَۃٌ وَ بِلادُھُم وَّاحِدَۃٌ yani musalmaan ek ummat hain aur unka mulk bhi ek hai.

Aur ek jagah par irshad farmaya: اَلمُسلِمُ اَخُو المُسلِمِ yani Musalman, musalman ka bhai hai.

Other Hadith on ummah in Urdu

Kya sach mein hum log apne jaan se pyare Aaqa kareem SAWW ki di huwi hidayat bhool gaye hain? Kya hamare Aaqa ne hujjatul widaa mein yeh nahi farmaya tha keh tum mein kisi arabi ko ajami par aur ajami ko kisi arabi par koi fazeelat nahi hai. Magar tum mein behtar woh hai jo ALLAH se darta hai. Aur tum musalmanon mein rang, nasal aur qabeele ka koi imtiyaz nahi.

Kya ALLAH k pyaare Rasool SAWW ne yeh nahi farmaaya tha ke tum musalmaan 1 jism ki tarah ho, jaise jism ke kisi ek hisse ko takleef pohunchti hain toh poora jism bechain hojata ha. Hum toh wo ummat the keh jinke baare mein ALLAH k Rasool PBUH ne irshad farmaaya tha keh 1 dosre par zulm mat karo, bas jo shakhs apne bhai ki zaroorat poori karega ALLAH uski zarurat poori karega. Aur jo shakhs bhi apne hi bhai ki musibat ko door karega toh qayamat mein ALLAH uski museebaton ko dur karega.

Jo shaks apne musalman bhai ka aib chupayega toh ALLAH uske aib ko chupayega. (Sahi Bukhari 2442)

Kya yeh sab humein maloom nahi hai? Kya hamari laa ilmi hamari halakat ka sabab nahi bansakti? Agar hum se koi puche keh hum kaun hain? Toh bila ikhtiyar hamara jawab yeh hona chahiye keh hum ALLAH ke pyare Rasool salallahu a’laihi wasallam ki aik ummat may se hain. Allah humein yakjehta hone ki tofeeq ata farmaye. Aur hame aapas mei mohabbat ke saath rehne ki taufeeq ata farmaye.

 

 

Get instant solution to your problems and diseases in light of the holy Quran and Hadith.  Online Istikhara, spiritual treatment, and courses by Amil Mohammad Yousuf Sahab.  Contact us +92-3232344555 ‘WhatsApp’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.