Istikharah

Istikharah ka matlab?

Hadees shareef main hai keh Allah se Istikhara karna aulaad e aadam ki khushi hai aur Allah se Istikharah na karna iski bad bakhti hai . Ek riwayat mein yeh bhi aaya hai keh , Nuqsaan nahi uthata wo shaks jo istikharah karta hai , aur pareshan nahi hota , jo koi mashwara kar leta hai aur baaz ahaadith se yeh bhi sabit hai keh

 مِنْ سَعَادَۃِ ابْنِ آدَمَ اَلرِّضَاءُ بِالْقَضَاءِ   

Tarjama – Ibn e Adam ki shahadat mandi marzi e iahi par razi hona hai,

Hazrat Jaabir bin A’bdullah (rehmatullahi a’laih) se riwayat hai wo farmate hain keh RasoolAllah Sallallaahu A’laihi wasallam hum ko tamaam kamoon main Istekara ki taleem is takeed se farmate the – jaisa keh Quran ki surah ihtemam ke saath sekhlate the – farmate keh jab kisi ko kisi kaam mein fikar taraddad ho to 2 rakat nafal padhe is ke baad yun kahe –

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْتَخِيرُكَ بِعِلْمِكَ وَأَسْتَقْدِرُكَ بِقُدْرَتِكَ وَأَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ الْعَظِيمِ فَإِنَّكَ تَقْدِرُ وَلَا أَقْدِرُ وَتَعْلَمُ وَلَا أَعْلَمُ وَأَنْتَ عَلَّامُ الْغُيُوبِ اللَّهُمَّ إِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الْأَمْرَ خَيْرٌ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي فَاقْدُرْهُ لِي وَيَسِّرْهُ لِي ثُمَّ بَارِكْ لِي فِيهِ وَإِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الْأَمْرَ شَرٌّ فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي فَاصْرِفْهُ عَنِّي وَاصْرِفْنِي عَنْهُ وَاقْدُرْ لِيَ الْخَيْرَ حَيْثُ كَانَ ثُمَّ ارْضِنِي بِهِ

Jab aap ( ھذا الامر ) par pohunchein to apne kaam ka dhyaan lagayein.

 

Aap RasoolAllah ( SallalLaahu A’laihi Wasallam ) ne farmaya hai keh jis shaks ne kisi kaam ke liye Istikhara kiya aur is mein Allah taala ne koi faisla kar diya ( masalan , wo maqsood poora kar diya ya isse dil ko hata diya ya aise asbaab bana diya jisse wo muamla khud hi hat gaya ) aur banda is faisle se raazi na ho to yeh iske liye jayiz nahi hai ( yani bada gunah hai ) jisse tauba karna aur baaz aana wajib hai .

 

استخارہ کے مسائل

Istekharah ke masail 

Istekarah talab khair hai , talab e khabar nahi , dua Istekarah kay alfaaz ko bi A’inihii ada karna aur jis tarah hadees main warid huwa hai isi tarah yaad karna chahiye – maana bhi yaad ho toh bahot acha hai – ta kay dil se Izteraar ki kafiyat kay saath ada ho. Istekarah wajbaat ya makrohaat mein se nahi ho sakta kyun keh wajib ka baja lana zaruri hai aur makroohaat se bachna zaruri hai. Phir Istekharah ka matlab kiya hai? Istikharah sirf mubahaat main kiya jata hai or mustajab mein bhi kiya jaa sakta hai. Jab keh 2 mustajabaat mein se ek ko karna chahiye keh in mein se kaunsa mere liye behtar hai.

Ahem baat mashoor hai keh Istekharah main jis taraf dil maayil ho jaaye usii ko karna chahiye, usii main khair hoti hai.

Yehi baat sahi hai keh Istekhara ke baad dil Allah ki taraf se kisi ek janib mayil ho jata hai . Toh jis janib dil maayil ho jaaye usii jaanib usii kaam ko ikhteyaar karna chahiye. Chahe wo aap ke haq mein ho ya nahi .

Ahem baat keh Istekhara ke baad dil ek janib maayil hoga keh Istekhara se pehle dil ka is janib zyada Mailaan nahi tha.

Toh bazaahir ya alamat is ki hai keh isi janib Ikhteyaar karna chahiye magar yeh wujoob aur Luzoom ki alamat nahi, is liye iske khilaaf bhi ikhtiyaar karna jayiz hai kuch gunah ya zarar ka andesha nahi. Baaz logon ka khayaal hai keh Istikharah ke baad jis janib dil zyada mayil ho is ke Khilaaf karna Jayiz nahi ya is mein zarar hoga galat hai – isi tarah jab tak dil kisi ek taraf mayil na ho Istikharah ko bekaar samajhte hain , yeh bhi sahi nahi hai.

APNE MASAIL KE JALDI  HAL (AUR TAWEEZAT) KE  LIYE   RABTA KAREIN 

Contact number for duacentre,Duacentre whatsapp number,duacenter

Istikharah ki ahmiyat:

Istikhara ka matlab yeh hai keh jab wo jayez ya 2 mustahab kamon mein taraddud ho keh in main se kis ko ikhteyaar karon toh Istikhara karke jis shai ko dil chahe ikhteyaar kare is main zarar na hoga – phir jis shai ko ikhteyaar kar liya is ko haq taala ki tajweez samajh kar is se razi rehna chahiye aur yaqeen rakhna chahiye keh is mein khair zaroor hogi jo meri samajh mein na aayi ho – Istikhara ke baad jis raah ko ikhteyaar kar liya jaye is se nagawari aur narazi aur yeh khayaal keh muje dosri raah ikhteyaar karni chahiye thi isi mein khair hoti , yeh baat bahot buri hai Jis par Hadees mein wayeed warid huwi hai .

استخارہ کا طریقہ     

( 1 ) Baad namaz e Isha 2 nafal ba niyyat istekharah is tarah ada karein keh dono rakat mein baad surah Fatiha surah Yaseen ek baar tilawat kare aur baad az namaz faragat ism e mubarak یَا خَبِیْرُ ( 200) baar padhein is ke baad dahni hatheli (Right palm)par                 (  یَا حَکِیْمُ ، یَا مَجِیْدُ) likhkar sojaaye In sha Allah khwaab mein hidaayat naseeb hogi.

( 2 ) Do rakat namaz ba niyyat e Istekhara ada kare. Baad az namaz   بِسْمِ اللہِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْم 323 baar aur حَسْبُنَا اللّٰہُ وَنِعْمَ الْوَکِیلُ 327 martaba padhein aur sojayein. Gaib se maalumaat hasil ho jaayegi In sha Allah.

( 3 ) Baad az namaz e Isha bawaqt kafeteen ayat mubarka قَالُوا سُبْحَانَكَ لَا عِلْمَ لَنَا إِلَّا مَا عَلَّمْتَنَا ۖ إِنَّكَ أَنتَ الْعَلِيمُ الْحَكِيمُ,  101 martaba padhkar sojayen. Teen shab tak yehi amal karein In sha Allah hidaayat naseeb hogi.

( 4 ) Baad az namaz e isha do rakat namaz ba niyyat e istekhara ada karein phir yeh dua khushoo wa khuzuu ke saath bargahe rabbul A’alameen main karein ,

Dua e Istikhara ye hai ، دعائے استخارہ یہ ہے:

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْتَخِيرُكَ بِعِلْمِكَ وَأَسْتَقْدِرُكَ بِقُدْرَتِكَ وَأَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ الْعَظِيمِ فَإِنَّكَ تَقْدِرُ وَلَا أَقْدِرُ وَتَعْلَمُ وَلَا أَعْلَمُ وَأَنْتَ عَلَّامُ الْغُيُوبِ اللَّهُمَّ إِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الْأَمْرَ خَيْرٌ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي فَاقْدُرْهُ لِي وَيَسِّرْهُ لِي ثُمَّ بَارِكْ لِي فِيهِ وَإِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الْأَمْرَ شَرٌّ فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي فَاصْرِفْهُ عَنِّي وَاصْرِفْنِي عَنْهُ وَاقْدُرْ لِيَ الْخَيْرَ حَيْثُ كَانَ ثُمَّ ارْضِنِي بِهِ

Jab aap ( ھذا الامر ) par pohunchein to apne kaam ka dhyaan lagayein aur is dua ke baad

 یَا خَبِیْرُ اَخْبَرْنِیْ یَا عَلِیْمُ عَلَّمَنِیْ

ka wird karte huwe daayein karwat par sojayein. Jab sokar uthain us waqt dil mein jo baat mazbooti se aaye is par amal karein .

استخارہ Istikharah –

Wudu karke paak kapde pehne aur Qibla ru daahni karwat par lait kar surah SHAMS 7 baar surah AL-LAIL 7 baar surah IKHLAAS 7 baar padhkar iske baad aajzi se kahen aye mere Allah mere khwaab mein wo cheez dikha dey aur is kaam ke sar anjaam hone ki tadbeer mere dil mein daal de.

In sha Allah usi raat maloom hojayega warna 7wi raat tak in sha Allah zaroor maloom ho jayega.

استخارہ کی ترکیب Istikharah ki tarkeeb 

Budh , Jumuaraat , aur jumua ki shab بدھ جمعرات جمعہ ki shab ko baad az nama e esha sab kamoon se farig hokar ( Bismillah hir Rah’man niR Rah’eem ) بِسْمِ اللہِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْم

70 martaba padhein aur apne muh aor seene par dum karein aur khuda taala se dua karein ke falaan amar mein jo kuch hone wala hai wo muje khwaab mein ya Onodgi mein kisi awaz dene wale ki aawaz se maaloom karde.Iske baad yeh durood e shareef ( 100 ) martaba padhein . اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلٰی مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰی اٰلِ مُحَمَّدٍ بِعَدَدِ کُلِّ شَیئٍ مَعلُومَ اللَک۔

۔ In sha Allah teen raaton mein maqsad poora ho jayega .

Istikhara ke mukhtalik wazaif:

استخارہ صحیحہ

Istikharah Sahihah :

Baad az namaz e isha taaza wudu karke paak bistar par baithen aur nabi kareem  ( Sallallaahu A’laihi Wasallam ) par durood bhejein phir 10 baar surah Fatiha 11 baar surah Ikhlaas aur last mein 3 baar durood e shareef padhkar daahni karwat Qibla ki taraf muh karke sojayein. Agar taabeer samajh mein na aaye toh kisi neik aur samajhdaar shaks se taabeer maaloom karlein

استخارہ

Istikharah :   

Budh , Jumuaraat aur Jumme ki raat ko 2 nafal namaz, Isha k baad ada karein iske baad yeh kalimaat ( 333 ) teen Soo taintees martaba padhein –یَا عَلِیْمُ یَا عَلِّمْنِیْ اِنْ کَانَ مِنْ الْاَحْوَالِ

phir Qible ki taraf muh karke sojayein, kisi se baat na karein Allah taala ke fazal O karam se pehli raat maloom ho jayega , nahi to dosri , ya had 3 din mein har haal mein maloom ho jayega In sha Allah.

عمل برائے استخارہ

Amal baraye Istekharah:

Awwal 11 martaba durood e shareef padhein phir یَا بَدِیْعَ الْعَجَائِبِ  یَا کَاشِفَ الْغَرَآئِبِ ( 1100 ) martaba padhein aur taat ke borya par sojayein lekin is amal ko karne se pahle gusul karein aur paak saaf kapde pehne aur Khushboo lagayen In sha Allah zaroor kamyaabi hogi .

عمل استخارہ

 Istikarah mujarrab:

Isha ki namaz ke baad 2 rakat Nafal padhein aur

( 100 ) baar یا عَلِیمُ عَلِّمنِی  ( 100 ) baar یا رَشِیدُ اَرشِدنِی ( 100 ) baar یَاھَادِیُ اِھْدِنِیْ ( 100 ) baar  

یا خَبِیرُ اَخبِرنِی 

Aur awwal wa akhir koi b dorood shareef ( 100 ) baar padhkar sojayein In sha Allah khwaab mein sab haal maloom ho jayega.

نماز استخارہ

Istikharah e Namaz:

Nisf shab ko bedaar ho kar nafal padhein aur donon rakaton main jo bhi surah ya ayatein yaad ho padhein, pakiza kapde pehne aur khushboo lagayen aur namaz se farig hokar sar sajde mein rakhkar darj zeel wazifa padhte huwe sojayein In sha Allah khwaab mein ek Buzurg is bande ki rehnumayi farmayenge.

یَا رَبِّ دُلَّنِیْ عَلَیَّ عَبْدِ مِنْ عِبَادِکَ الْمُقََرَّبِیْنَ حَتّٰی یَدُلَّنَیْ عَلَیْکَ وَیَغْرُضَنِیْ صِدْقُ الْوُصُوْلِ اِلَیْکَ

استخارہ کا مسنون طریقہ 

Istikharah ka Masnoon Tareeqa –

Nabi e paak ( Sallallaahu A’laihi Wasallam ) ka irshaad hai keh jo shaks Allah taala se Istikharah karta hai wo khasara mein nahi rehta. HAZRAT Jaabir Radiallahuanh farmate hain ke Huzoor sarwar e do Aalam ( Sallallaahu A’laihi Wasallam ) hamein istikharah ki taleem is tarah dete the jis tarah QURAN ki taleem diya karte the.

Aap ( sallallaahu a’lihi wasallam ) ne farmaya keh agar koi shaks kisi kaam ka irada kare toh ise ( 2) rakat nafal namaz padhkar yeh dua padhni chahiye

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْتَخِيرُكَ بِعِلْمِكَ وَأَسْتَقْدِرُكَ بِقُدْرَتِكَ وَأَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ الْعَظِيمِ فَإِنَّكَ تَقْدِرُ وَلَا أَقْدِرُ وَتَعْلَمُ وَلَا أَعْلَمُ وَأَنْتَ عَلَّامُ الْغُيُوبِ اللَّهُمَّ إِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الْأَمْرَ خَيْرٌ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي فَاقْدُرْهُ لِي وَيَسِّرْهُ لِي ثُمَّ بَارِكْ لِي فِيهِ وَإِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الْأَمْرَ شَرٌّ فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي فَاصْرِفْهُ عَنِّي وَاصْرِفْنِي عَنْهُ وَاقْدُرْ لِيَ الْخَيْرَ حَيْثُ كَانَ ثُمَّ ارْضِنِي بِهِ

Yeh dua 2 Nafal ke baad padhein aur jahan par  ( ھذا الامر  ) ka lafz hai yahan apna jo bhi maqsad ho wo kahen phir paak saaf bistar par sojayein In sha Allah, Allah jalla majduhoo uska dil usi taraf pher dega jo kaam uske haq mein behtar huwa.

استخارہ کا ایک اور مجرب عمل

Istikharah ka ek aur mujarrab amal:

Raat ko sote waqt 6 rakat namaz e istikarah padhein iski tarkeeb ya hai keh pehli rakat mein surah Fatiha ke baad

 ( سورۃ الشمس )  surah SHAMS 7 baar padhein dosri rakat mein Surah Fatiha ke baad سورۃ الیل ) ) surah AL-LAIL 7 martaba Teseri rakat mein  سورۃ الضحی ) )  surah DUHA 7 baar chauthi mein ( سورہ النشرح )  Surah ALAM-NASHRAH 7 baar paanchwi mein  سورۃ التین ) ) TEEN 7 baar aur aakhri mein ( سورۃ القدر ) Surah AL-QADAR padhein.

Namaz se farig hokar Haq taala ki tamheed wa Taqdees ke baad yeh dua padhein aur aakhir mein durood e shareef padhkar sojayein.

اَللَّھُمَّ رَبِّ اِبْرَاھِیْمَ وَرَبِّ مُوْسٰی وَرَبِّ یَعْقُوْبَ وَرَبِّ اِسْحٰقَ وَرَبِّ جِبْرَاِئیْلَ وَرَبِّ مِیْکَاِئیْلَ وَاِسْرَافِیْلَ وَعِزْرَاِئیْلَ عَلَیْھِمَ السَّلاَمُ وَمُنَزِّلَ التَّوْرَاۃِ وَالاِْنْجِیْلَ وَالزَّبُوْرَ وَالقُرْآنَ الْعَظِیْمَ اَرِنِیْ فِیْ مَنَامِی اللَّیْلَۃِ مَا اَنْتَ اَعْلَمُ بِہٖ مِنِّیْ

Agar pehli raat jawaab na mile toh dosre, tesre din 7 din tak yeh amal karein In sha Allah ho hi nahi sakta ke usko jawaab na milen.

 


ISTIKHARA

Istikhara means to seek goodness from Almighty Allah. The words of Istikhara’s Dua must be recited as it is stated in hadith shareef, it is good if its meaning is also known.

Istikhara can be done only for permissible and good things, not for illegal activities.

When there is a confusion in two good tasks about which one to choose then Istikhara can be done and after doing Istikhara whatever the heart suggests its decision will be better, it must be accepted.

The Sunnah method of Istikhara:-

The prophet peace be upon him stated that whoever does Istikhara from Allah will not be in loss. Hazrat jaabir radiallahuanh said that the prophet peace be upon him used to teach us to do Istikhara. As he used to teach us the verses of Quran. The prophet peace be upon him said that If some person intends for some work then it is required for him to offer 2 rakat nafil prayer and read this dua

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْتَخِيرُكَ بِعِلْمِكَ وَأَسْتَقْدِرُكَ بِقُدْرَتِكَ وَأَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ الْعَظِيمِ فَإِنَّكَ تَقْدِرُ وَلَا أَقْدِرُ وَتَعْلَمُ وَلَا أَعْلَمُ وَأَنْتَ عَلَّامُ الْغُيُوبِ اللَّهُمَّ إِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الْأَمْرَ خَيْرٌ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي فَاقْدُرْهُ لِي وَيَسِّرْهُ لِي ثُمَّ بَارِكْ لِي فِيهِ وَإِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الْأَمْرَ شَرٌّ فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي فَاصْرِفْهُ عَنِّي وَاصْرِفْنِي عَنْهُ وَاقْدُرْ لِيَ الْخَيْرَ حَيْثُ كَانَ ثُمَّ ارْضِنِي بِهِ

When this word comes (ھذا الامر ) imagine your need then sleep on clean bed. In sha Allah, Allah tala will turn his heart towards that work which would be better for him.

 

Different Methods of doing Istikhara

1).  After Isha Salah offer two rakat nafil prayer. With the intention of Istikhara in such a way that in both the rakats. After Surah Fatiha recite Surah Yaseen once and after Salah Recite the name of Allah Ya Khabeeru 200 times. Write Ya Hakeemu Ya Majeed on the right hand and sleep. In sha Allah you will get guidance in dream.

 

2 ). Offer two rakats Salah with the intention of Istikhara and after the Salah recite 323 times Bismillahir Rah’maan nir Rah’eem and 327 times H’usbunallahu WA ni’mal wakeel and sleep. In Sha Allah you will get the answer from unseen.

3) After Isha salah recite this verse “Qaaluu subh’aanaka laa i’lma lanaa illaa maa a’llamtanaa innaka Antal a’leemul h’akeem”.  101 times and sleep. Do this for three nights, In Sha Allah you will get guidance.

4 ) After Isha Salah offer two rakat nafil prayer with the intention of Istikhara. Read this dua with full concentration and pray to Allah

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْتَخِيرُكَ بِعِلْمِكَ وَأَسْتَقْدِرُكَ بِقُدْرَتِكَ وَأَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ الْعَظِيمِ فَإِنَّكَ تَقْدِرُ وَلَا أَقْدِرُ وَتَعْلَمُ وَلَا أَعْلَمُ وَأَنْتَ عَلَّامُ الْغُيُوبِ اللَّهُمَّ إِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الْأَمْرَ خَيْرٌ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي فَاقْدُرْهُ لِي وَيَسِّرْهُ لِي ثُمَّ بَارِكْ لِي فِيهِ وَإِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الْأَمْرَ شَرٌّ فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي فَاصْرِفْهُ عَنِّي وَاصْرِفْنِي عَنْهُ وَاقْدُرْ لِيَ الْخَيْرَ حَيْثُ كَانَ ثُمَّ ارْضِنِي بِهِ

 

When you reach(ھذا الامر ) imagine your task for which you are doing Istikhara.Reciting this sleep on right side  یَا خَبِیْرُ اَخْبَرْنِیْ یَا عَلِیْمُ عَلَّمَنِیْ

After awakening from sleep whichever decision becomes dominant in heart act on it.

Different Methods of doing Istikhara

5) Make ablution, wear clean clothes and sleep on the right side facing Kaaba shareef recite surah shams 7 times. surah Al lail 7 times. And surah Ikhlaas 7 times. Then pray to Allah that O Allah show me that thing in my dream. Put the interpretation of the result of doing that thing in my heart. In Sha Allah you will come to know the answer on that night itself or within 7 nights for sure.

6) On Wednesday, Thursday and Friday night after Isha prayer before sleeping recite Bismillah hir R’ahmaan NIR Rah’eem  ??? ???? ?????? ?????? 70 times and blow it on your face and chest and pray to Allah that in. So matter whatever is going to happen reveal it to me in my dream or when I am awake in the voice of someone who speaks. After this recite this duroode shareef  100 times . (Allahumma Salle a’laa sayyidinaa muh’ammadim bi a’dadi ma’looma laka) ????? ??? ??? ????? ???? ???? ????? ?? ? In sha Allah within 3 nights the need will be fulfilled.

 

 

7)Istikhara e Sahiyah :

After Isha prayer make fresh ablution and sit on bed and send durood upon the prophet peace be upon him 3 times. Recite surah fatiha 10 times and surah Ikhlaas 11 times. And duroode shareef 3 times and sleep on right side facing Kaaba shareef. If you are unable to understand the interpretation of dream then ask it to some pious knowledgeable person.

Different Methods of doing Istikhara

8) On Wednesday, Thursday and Friday night offer. 2 rakat nafil prayer after Isha salah and then recite these words 333 times –

?? ???? ????? ?? ??? ?? ??????? and then sleep facing towards Kaaba shareef without talking with anyone. By the grace of Almighty Allah. You will come to know on first night otherwise on second or third night for sure in Sha Allah

9) At first recite duroode shareef 11 times and then these words 1100 times

?? ???? ??????? ?? ???? ???????

and then sleep on the mat of sackcloth but before doing this deed take bath. Wear clean clothes and apply perfume In Sha Allah you will get the answer.

 

10)After Isha salah offer 2 rakat nafil prayer and recite 100  times

And in the beginning and at the end recite any duroode shareef 100 times and sleep. In Sha Allah you will get the answer in your dream

11)Wake up at midnight and wear clean clothes and apply perfume and read 2 rakat nafil prayer. After prayer go in prostration and sleep reading this dua. In Sha Allah you will be guided in dream by an elder person.

?? ?? ???? ??? ??? ?? ????? ???????? ??? ????? ???? ??????? ??? ?????? ????

Different Methods of doing Istikhara

12) At night before sleeping read 6 rakats nafil Istekhara prayer in this manner. That in first rakat after surah fatiha recite surah shams 7 times ( ???? ????? ).In second rakat after Surah fatiha  ???? ???? recite surah AL-LAIL 7 times, in third rakat   ???? ?????  surah DUHA 7 times, in fourth rakat ( ???? ?????? )  ALAM-NASHRAH 7 times, in fifth rakat  ???? ?????  Surah TEEN 7 times and in last rakat ( ???? ????? ) Surah AL-QADR 7 times. After this prayer praise Allah and read this dua and then duroode shareef at the end and sleep.

????? ?? ??????? ??? ???? ??? ????? ??? ???? ??? ??????? ??? ??????? ???????? ???????? ????? ?????? ????? ??????? ???????? ??????? ??????? ?????? ???? ?? ????? ?????? ?? ??? ???? ?? ???

If you do not get answer on the first night then continue it for 7 days. In Sha Allah definitely you will get answer within these days.

 

مختصر دعائے استخارہ
Mukhtasar Dua e Istikhara

اَللّٰھُمَّ خِرْلِیْ وَاخْتَرْلِیْ

فائدہ: اچانک کسی کام میں فیصلہ کرنے کا موقع آجائے کہ دو رکعت پڑھنے کا وقت بھی نہ ہو تو ایسے موقع پر آپ ﷺ نے یہ دعاء تلقین فرمائی ہے۔

Short Dua-e-Istikhara

اَللّٰھُمَّ خِرْلِیْ وَاخْتَرْلِیْ

Benefit: If a situation of making sudden decision in some matter arises. There is no time of reading 2 rakat nafl prayer then at such moment. This dua must be read as ordered by huzoor peace be upon him.

FOR QUICK  SOLUTION OF YOUR PROBLEMS  (& AMULETS SERVICE) CONTACT

Contact number for duacentre,Duacentre whatsapp number,duacenter

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.